duniya-e-sitam zer-o-zabar ho ke rahegi
jab raat hui hai to sahar ho ke rahegi
talwar se jage ki nasim-e-sahari se
hushiyar magar ruh-e-bashar ho ke rahegi
ban jaenge gul rah mein bikhre hue kanTe
himmat hai to takmil-e-safar ho ke rahegi
ye husn-e-tasawwur mujhe marne nahin deta
ek din meri jaanib wo nazar ho ke rahegi
tum KHun-e-tamanna ko mere lakh chhupao
ek rose zamane ko KHabar ho ke rahegi
ye baat alag hai ki sahar tak na rahen hum
lekin ye yaqin hai ki sahar ho ke rahegi
'shaarib' main chhupun lakh zamane ki nazar se
lekin KHabar-e-aib-o-hunar ho ke rahegi
Ghazal
Duniya-e-sitam zer-o-zabar ho ke rahegi
Sharib Lakhnavi