duniya-e-mohabbat mein hum se har apna paraya chhuT gaya 
ab kya hai jis par naz karen ek dil tha wo bhi TuT gaya 
saqi ke hath se masti mein jab koi saghar chhuT gaya 
mai-KHane mein ye mahsus hua har mai-kash ka dil TuT gaya 
jab dil ko sukun hi ras na ho phir kis se gila nakaami ka 
har bar kisi ka hathon mein aaya hua daman chhuT gaya 
socha tha harim-e-jaanan mein naghma koi hum bhi chheD saken 
ummid ne saz-e-dil ka magar jo tar bhi chheDa TuT gaya 
kya shai thi kisi ki pahli nazar kuchh is ke alawa yaad nahin 
ek tir sa dil mein jaise laga paiwast hua aur TuT gaya 
is naghma-taraaz-e-gulshan ne toDa hai kuchh aisa saz-e-dil 
ek tar kahin se TuT gaya ek tar kahin se TuT gaya
        Ghazal
Duniya-e-mohabbat mein humse har apna paraya chhuT gaya
Shamim Jaipuri

