اردو हिंदी
Duniya-e-husn-o-ishq mein kis ka zuhur tha | Shaahi Shayari
duniya-e-husn-o-ishq mein kis ka zuhur tha

Ghazal

Duniya-e-husn-o-ishq mein kis ka zuhur tha

Fani Badayuni

;

duniya-e-husn-o-ishq mein kis ka zuhur tha
har aankh barq-pash thi har zarra tur tha

meri nazar ki aaD mein un ka zuhur tha
allah un ke nur ka parda bhi nur tha

thi har taDap sukun ki duniya liye hue
pahlu mein aap the ki dil-e-na-subur tha

hum kushtagan-e-gham pe ye ilzam-e-zindagi
be-mehr kuchh to pas-e-haqiqat zarur tha

baalin pe tum jab aae to aai wo maut bhi
jis maut ke liye mujhe jina zarur tha

thi un ke ru-ba-ru bhi wahi shan-e-iztirab
dil ko bhi apni waza pe kitna ghurur tha

lutf-e-hayat be-KHalish-e-muddaa kahan
yani ba-qadr-e-talKHi-e-sahba surur tha

uTh kar chale to hashr bhi uThna tha kya zarur
un ki gali se madfan-e-'fani' to dur tha