duniya-e-gham ko zer-o-zabar kar sake to kar
rahmat ki mujh pe ek nazar kar sake to kar
ai dil tu aisi aah agar kar sake to kar
duniya udhar ki aaj idhar kar sake to kar
ai aah-e-barq-rez tujhe rokta hai kaun
us be-KHabar ko meri KHabar kar sake to kar
mashhur hai ki ishq ki rahen hain KHaufnak
himmat se pahle puchh safar kar sake to kar
aariz hain tere zulfen bhi teri kisi se kya
ek ja pe jama sham-o-sahar kar sake to kar
nadan hadis-e-ishq ke mani kuchh aur hain
qabu mein dil ko apne agar kar sake to kar
ai aah tu hi hausla apna nikal le
us sang-dil ke dil pe asar kar sake to kar
'alim' jahan-e-ishq ki dushwariyan na puchh
dil ko jo raazdar-e-jigar kar sake to kar
Ghazal
Duniya-e-gham ko zer-o-zabar kar sake to kar
Mirza Altaf Husain Alim Lucknwi