duniya bhi ajab hasin zan hai
is sin pe bani hui dulhan hai
gesu-e-sanam ka dil pe hai dant
is sanp ka kaTne pe man hai
garmi mein nahin hai shoKHi-e-chashm
ye dhup se kala hiran hai
har gam kare jo hashr barpa
wo hashr KHiram bad-chalan hai
tabut mein hai urus-e-mayyat
dulha ke kanar mein dulhan hai
jangal se ilaqa hai hamein 'shad'
jagir mein wahshiyon ki ban hai
Ghazal
Duniya bhi ajab hasin zan hai
Shad Lakhnavi