duniya apni maut jald-az-jald mar jaane ko hai
ab ye Dhancha aisa lagta hai bikhar jaane ko hai
ain us dam neshtar le aati hain yaaden teri
zaKHm tanhai ka lagta hai ki bhar jaane ko hai
jaane wale aur kuchh din sog karna hai tera
zehn-o-dil se phir ye nashsha bhi utar jaane ko hai
waqt-e-ruKHsat bad-gumani teri aisa ghaw thi
rafta rafta ab jo apna kaam kar jaane ko hai
hum haqiqat-ashna logon se kam milte hain log
un ko samjhao ye shiraaza bikhar jaane ko hai
rut hua badlegi sab gul shaKH par mar jaenge
ab ye mausam KHushbuon ka par katar jaane ko hai
Ghazal
Duniya apni maut jald-az-jald mar jaane ko hai
Shahzad Anjum Burhani