duniya apni manzil pahunchi tum ghar mein bezar paDe
tum se kis ko ishq hua hai tum pe KHuda ki mar paDe
dil ki baaton mein aa jaana jite ji mar jaana hai
hum us ke kahne mein aae kitne din bimar paDe
gul ya gulshan se laD jaana khel hai apni nazron ka
aisi ghaDi allah na lae jab dil se takrar paDe
gar na sadaf se bahar aate ek din moti ban jate
kam-zarfi ne KHwar kiya hai sahil par ho bar paDe
hijr ki muddat dard ke lamhe kya kya mani rakhte hain
ye sab baaten wo dil jaane jis par gham ka bar paDe
duniya taj kar ishq ke raste aae wo bhi sahl paDa
'wajd' ab us raste par jao jo rasta dushwar paDe
Ghazal
Duniya apni manzil pahunchi tum ghar mein bezar paDe
Wajd Chughtai