اردو हिंदी
Dukhon ke rup bahut aur sukhon ke KHwab bahut | Shaahi Shayari
dukhon ke rup bahut aur sukhon ke KHwab bahut

Ghazal

Dukhon ke rup bahut aur sukhon ke KHwab bahut

Tanveer Anjum

;

dukhon ke rup bahut aur sukhon ke KHwab bahut
tera karam hai bahut par mere azab bahut

tu kitna dur bhi hai kis qadar qarib bhi hai
baDa hai hijr ka sahra-e-pur-sarab bahut

haqiqat-e-shab-e-hijran ke raaz khoe gae
tawil din hain baDe raste KHarab bahut

chalenge kitna tere gham ke sath sath qadam
shikanja-ha-e-zamana hain be-hisab bahut

utar gaya hai KHumar-e-sharab-e-zat kahin
hue hain gardish-e-dauran se faizyab bahut