اردو हिंदी
Dukhon ke dasht ghamon ke nagar mein chhoD aae | Shaahi Shayari
dukhon ke dasht ghamon ke nagar mein chhoD aae

Ghazal

Dukhon ke dasht ghamon ke nagar mein chhoD aae

Mohsin Ehsan

;

dukhon ke dasht ghamon ke nagar mein chhoD aae
wo ham-safar ki jinhen ham-safar mein chhoD aae

bahut jamil si yaadon ko sath le aae
bahut malul se chehron ko ghar mein chhoD aae

baDe qarine se hum aa gae kinare par
baDe saliqe se kashti bhanwar mein chhoD aae

kis ehtimam se ab tak pukarti hain hamein
wo chahaten jinhen diwar-o-dar mein chhoD aae

bahut ajib the wo log jo dam-e-ruKHsat
kai kahaniyan us chashm-e-tar mein chhoD aae

na din hi phirte hain 'mohsin' na shab badalti hai
watan ko kaun se sham-o-sahar mein chhoD aae