dukhe hue hain hamein aur ab dukhao mat
jo ho gae ho fasana to yaad aao mat
KHayal-o-KHwab mein parchhaiyan si nachti hain
ab is tarah to meri ruh mein samao mat
zamin ke log to kya do dilon ki chahat mein
KHuda bhi ho to use darmiyan lao mat
tumhaara sar nahin tiflan-e-rah-guzar ke liye
dayar-e-sang mein ghar se nikal ke jao mat
siwae apne kisi ke bhi ho nahin sakte
hum aur log hain logo hamein satao mat
hamare ahd mein ye rasm-e-ashiqi Thahri
faqir ban ke raho aur sada lagao mat
wahi likho jo lahu ki zaban se milta hai
suKHan ko parda-e-alfaz mein chhupao mat
supurd kar hi diya aatish-e-hunar ke to phir
tamam KHak hi ho jao kuchh bachao mat
Ghazal
Dukhe hue hain hamein aur ab dukhao mat
Obaidullah Aleem