dukhe dilon pe jo paD jae wo tabib nazar
to bagh-e-dil mein bhi aa jaen andalib nazar
har ek subh wazu karti hain meri aankhen
ki shayad aaj to aa jae wo habib nazar
isi tarah se rah-e-yar ko take jaana
had-e-nazar ko gira degi an-qarib nazar
tu intizar se chhuT kar hai KHush magar mujh ko
ghaDi judai ki aane lagi qarib nazar
bujha do sham-e-mohabbat jala do gulshan-e-ishq
Dara sakegi na aashiq ko ye muhib nazar
jamal-o-husn ke qael hain us ke sab 'ajmal'
bas ek tum hi yahan rakhte ho ajib nazar
Ghazal
Dukhe dilon pe jo paD jae wo tabib nazar
Ajmal Siddiqi