dukhati hai dil phir mohabbat kisi ki
ki aankhon mein phirti hai surat kisi ki
na puchho ye hain sikka-e-dagh kis ke
ye daulat mili hai badaulat kisi ki
pur-arman ahbab duniya se uTThe
falak ne nikali na hasrat kisi ki
ye aalam hai apna ki kahta hai aalam
ilahi na ho aisi haalat kisi ki
ajab be-murawwat se pala paDa hai
kahan tak kare koi minnat kisi ki
uDa le gai sarw se qumriyon ko
qayamat hai buTa si qamat kis ki
main is dil ka sathi nahin aashiqi mein
bala meri le sar par aafat kisi ki
nazar mein hain yaran-e-rafta ke jalse
KHush aati nahin mujh ko sohbat kisi ki
wo kya din the ai dil tujhe yaad hai kuchh
wo meri KHushamad wo naKHwat kisi ki
bahut bad hai ai ishq sarkar tere
na izzat kisi ki na hurmat kisi ki
shikanje mein rahta hai dil aadmi ka
KHuda band rakkhe na hajat kisi ki
kahe mujh ko jo jis ka ji chahe lekin
kabhi mujh se hogi na ghibat kisi ki
abas 'bahr' marte ho tum har kisi par
mubarak nahin tum ko chahat kisi ki
Ghazal
Dukhati hai dil phir mohabbat kisi ki
Imdad Ali Bahr