dukhata hai mera dil be alif re
hua hun ranj se main ze alif re
uDain dhajjiyan bhi tu ne lekin
chhuTa daman na tujh se KHe alif re
gareban-gir hai ye jo wahshat
na rakkha nam ko bhi te alif re
KHushi se kaT le qatil mera sar
hua hai ab to mujh ko be alif re
nigahon ko kahun kyun-kar na barchhi
ki sine se hui hain pe alif re
ilahi ze alif re to hua hun
pa chashm-e-ghair mein hun KHe alif re
liya hai dil tumhaara us ne 'anjum'
kare aankhen wo kyunkar che alif re
tasawwur gul-ruKHon ka 'asman' kyun
gale ka ho gaya hai he alif re
Ghazal
Dukhata hai mera dil be alif re
Mirza Asman Jah Anjum