dukha dil bhi TukDe jigar hote hote
idhar bhi uTha dard udhar hote hote
jawani ka joban Dhala din ki surat
zawal aa gaya dopahar hote hote
dil-e-na-murad ek hazar aarzuen
use chahiye umr-bhar hote hote
nahane mein zanjir-e-pa tauq-e-gardan
bane halqa halqa bhanwar hote hote
wo ja apne pahlu mein de hi ye mushkil
jo hoga bhi to dil mein ghar hote hote
haram jate jate gae mai-kade mein
idhar ho gae 'shad' udhar hote hote
Ghazal
Dukha dil bhi TukDe jigar hote hote
Shad Lakhnavi