dukh sine mein kis taqat-e-iza ne bhare hain
ghar saikaDon KHali hue virane bhare hain
hairat hai ki jo garden-e-qatil pe raha hai
us KHun se KHud hath masiha ne bhare hain
pyason ki tasalli ke liye shor bahut hai
kuchh kuzon ke nuqsan bhi dariya ne bhare hain
KHar-o-KHas-o-KHashak tasarruf mein hain kis ke
ye apne hi daman hain jo sahra ne bhare hain
kuchh der hi guzri hai jale mashal-e-gul ko
ye kya ki dhuwen se sabhi KHas-KHane bhare hain
yunhi to nahin zinda o bedar ye taswir
har naqsh mein rang apni tamanna ne bhare hain
ek wusat-e-dil hai gham-e-imroz se labrez
jo goshe tahi the gham-e-farda ne bhare hain
kyun uljhe ho 'mahshar' ye tawaqqo hi ghalat hai
zaKHm-e-gham-e-duniya kabhi duniya ne bhare hain
Ghazal
Dukh sine mein kis taqat-e-iza ne bhare hain
Mahshar Badayuni