dukh nawishta hai to aandhi ko likha aahista
ai KHuda ab ke chale zard hawa aahista aahista
KHwab jal jaen meri chashm-e-tamanna bujh jae
bas hatheli se uDe rang-e-hina aahista
zaKHm hi kholne aai hai to ujlat kaisi
chhu mere jism ko ai baad-e-saba aahista
TuTne aur bikharne ka koi mausam ho
phul ki ek dua mauj-e-hawa aahista
jaanti hun ki bichhaDna teri majburi hai
par meri jaan mile mujh ko saza aahista
meri chahat mein bhi ab soch ka rang aane laga
aur tera pyar bhi shiddat mein hua aahista
nind par jal se paDne lage aawazon ke
aur phir hone lagi teri sada aahista
raat jab phul ke ruKHsar pe dhire se jhuki
chand ne jhuk ke kaha aur zara aahista

Ghazal
Dukh nawishta hai to aandhi ko likha aahista
Parveen Shakir