dukh na sahne ki sazaon mein ghira rahta hai 
shahr ka shahr duaon mein ghira rahta hai 
na bulao to bulata hi nahin hai koi 
jis ko dekho wo anaon mein ghira rahta hai 
koi manzil hai ki duri mein chhupi hai kab se 
koi rasta hai ki panw mein ghira rahta hai 
dil ko fursat nahin milti kabhi ummidon se 
ye sukhi 'shaz' gadaon mein ghira rahta hai
        Ghazal
Dukh na sahne ki sazaon mein ghira rahta hai
Zakariya Shaz

