dukh ki lahar ne chheDa hoga
yaad ne kankar phenka hoga
aaj to mera dil kahta hai
tu is waqt akela hoga
mere chume hue hathon se
auron ko KHat likhta hoga
bhig chalin ab raat ki palken
tu ab thak kar soya hoga
rail ki gahri siTi sun kar
raat ka jangal gunja hoga
shahr ke KHali station par
koi musafir utra hoga
aangan mein phir chiDiyan bolin
tu ab so kar uTTha hoga
yaadon ki jalti shabnam se
phul sa mukhDa dhoya hoga
moti jaisi shakl bana kar
aaine ko takta hoga
sham hui ab tu bhi shayad
apne ghar ko lauTa hoga
nili dhundli KHamoshi mein
taron ki dhun sunta hoga
mera sathi sham ka tara
tujh se aankh milata hoga
sham ke chalte hath ne tujh ko
mera salam to bheja hoga
pyasi kurlati kunjon ne
mera dukh to sunaya hoga
main to aaj bahut roya hun
tu bhi shayad roya hoga
'nasir' tera mit purana
tujh ko yaad to aata hoga
Ghazal
Dukh ki lahar ne chheDa hoga
Nasir Kazmi