اردو हिंदी
Dukh ke jangal mein phirte hain kab se mare mare log | Shaahi Shayari
dukh ke jangal mein phirte hain kab se mare mare log

Ghazal

Dukh ke jangal mein phirte hain kab se mare mare log

Javed Akhtar

;

dukh ke jangal mein phirte hain kab se mare mare log
jo hota hai sah lete hain kaise hain bechaare log

jiwan jiwan hum ne jag mein khel yahi hote dekha
dhire dhire jiti duniya dhire dhire haare log

waqt singhasan par baiTha hai apne rag sunata hai
sangat dene ko pate hain sanson ke uktare log

neki ek din kaam aati hai hum ko kya samjhate ho
hum ne be-bas marte dekhe kaise pyare pyare log

is nagri mein kyun milti hai roTi sapnon ke badle
jin ki nagri hai wo jaanen hum Thahre banjare log