اردو हिंदी
Dukh aur tarah ke hain dua aur tarah ki | Shaahi Shayari
dukh aur tarah ke hain dua aur tarah ki

Ghazal

Dukh aur tarah ke hain dua aur tarah ki

Iftikhar Arif

;

dukh aur tarah ke hain dua aur tarah ki
aur daman-e-qatil ki hawa aur tarah ki

diwar pe likkhi hui tahrir hai kuchh aur
deti hai KHabar KHalq-e-KHuda aur tarah ki

kis dam uThaenge KHaridar ki is bar
bazar mein hai jins-e-wafa aur tarah ki

bas aur koi din ki zara waqt Thahar jae
sahraon se aaegi sada aur tarah ki

hum ku-e-malamat se nikal aae to hum ko
ras aai na phir aab-o-hawa aur tarah ki