اردو हिंदी
Dui ka tazkira tauhid mein paya nahin jata | Shaahi Shayari
dui ka tazkira tauhid mein paya nahin jata

Ghazal

Dui ka tazkira tauhid mein paya nahin jata

Makhmoor Dehlvi

;

dui ka tazkira tauhid mein paya nahin jata
jahan meri rasai hai mera saya nahin jata

mere TuTe hue pa-e-talab ka mujh pe ehsan hai
tumhaare dar se uTh kar ab kahin jaya nahin jata

mohabbat ho to jati hai mohabbat ki nahin jati
ye shoala KHud bhaDak uThta hai bhaDkaya nahin jata

faqiri mein bhi mujh ko mangne se sharm aati hai
sawali ho ke mujh se hath phailata nahin jata

chaman tum se ibarat hai bahaaren tum se zinda hain
tumhaare samne phulon se murjhaya nahin jata

mohabbat ke liye kuchh KHas dil maKHsus hote hain
ye wo naghma hai jo har saz par gaya nahin jata

mohabbat asl mein 'maKHmur' wo raaz-e-haqiqat hai
samajh mein aa gaya hai phir bhi samjhaya nahin jata