duhai hai teri tu le KHabar o la-makan wale
chaman mein ro rahe hain aashiyan ko aashiyan wale
bhaTak sakte nahin ab karwan se karwan wale
nishani har qadam par dete jate hain nishan wale
qayamat hai hamara ghar hamare hi liye zindan
rahen paband ho kar aashiyan mein aashiyan wale
mere sayyaad ka allahu-akbar roab kitna hai
qafas mein bhi zaban ko band rakhte hain zaban wale
yahi kamzoriyan apni rahen to ai 'qamar' ek din
makanon mein bhi apne rah nahin sakte makan wale
Ghazal
Duhai hai teri tu le KHabar o la-makan wale
Qamar Jalalvi