dubara dil mein koi inqalab ho na saka
tumhaari pahli nazar ko jawab ho na saka
kamal-e-nur zawal-e-hijab ho na saka
wo be-naqab kabhi be-naqab ho na saka
dil-e-tapida hua bazm-e-husn se wapas
nazar Thahar na saki intiKHab ho na saka
rawish badal gai tewar tere nahin badle
qayamat aai magar inqilab ho na saka
kahan dil aur kahan dil ke aaine ki ada
gharaz sawal se behtar jawab ho na saka
mere sawal pe us ne nazar jo ki nichi
phir us ka mujh se jawab-ul-jawab ho na saka
jalal-e-rob hai 'natiq' jamal par us ke
wo be-naqab kabhi be-naqab ho na saka
Ghazal
Dubara dil mein koi inqalab ho na saka
Natiq Lakhnavi