duaon ki zarurat hai dawa mein kuchh nahin rakkha 
chachi mein jaan baqi hai chacha mein kuchh nahin rakkha 
gareban ke baTan sar ka dupaTTa aankh ka parda 
tumhaari artificial haya mein kuchh nahin rakkha 
rabar ke dastaKHat patthar ke afsar mom ke kaghaz 
jab andar se TaTola nadira mein kuchh nahin rakkha 
jo tum parfum mein Dupki laga kar roz aati ho 
faza tum se moattar hai hawa mein kuchh nahin rakkha 
mohalle mein unhen kahte hain sab sharrunnisa-begam 
to ye sabit hua KHairunnisa mein kuchh nahin rakkha 
mrs iqbaal pani mang ke piti hain shauhar se 
phir is ke baad kahti hain piya mein kuchh nahin rakkha 
mohabbat se jo KHali ho wo dil be-kar hota hai 
KHala mein jaiye bait-ul-KHala mein kuchh nahin rakkha 
wo make-up ke sahaare ban gai filmon ki heroine 
na ho naz-o-ada to naziya mein kuchh nahin rakkha 
hamari nasl ke KHali kanastar ye batate hain 
talo mein kuchh nahin hai DalDa mein kuchh nahin rakkha 
to ye noTon ki KHushbu kaun si pocket se aai hai 
main kaise man lun band-e-qaba mein kuchh nahin rakkha
        Ghazal
Duaon ki zarurat hai dawa mein kuchh nahin rakkha
Khalid Irfan

