duaen mangin hain muddaton tak jhuka ke sar hath uTha uTha kar
hua hun tab main buton ka banda KHuda KHuda kar KHuda KHuda kar
dua lab-e-jam ne bhi mangi subu ne bhi hath uTha uTha kar
hamari mahfil mein aaya saqi KHuda KHuda kar KHuda KHuda kar
dikhaya wahdat ne apna jalwa dui ka parda uTha uTha kar
karun main sajda buton ke aage tu ai barahman KHuda KHuda kar
hain ashk zaKHmon se mere jari na dekhi hogi ye ashk-bari
bani hain chashm-e-pur-ab qatil ye zaKHm pani chura chura kar
kahan wo shaklen kahan wo baaten kahan wo jalse kahan wo mahfil
ye sab ka sab KHwab ka tha saman chhupa liya bas dikha dikha kar
ba-rang-e-saghar mila diya munh jo munh se tere KHafa na hona
kiya hai behosh tu ne saqi sharab mujh ko pila pila kar
uThaya yaron ne par na uTTha zamin se hargiz hamara lasha
ye kis ne hum ko hai mar Dala nazar se apni gira gira kar
jo pahunchen hum murgh-e-nama-bar ko to chuTkiyon mein use uDa de
agar-che wo tifl khelta hai par-e-kabutar uDa uDa kar
pas-az-fana bhi agar tu aae karun sag-e-yar mehmani
ki ustaKHwanon ko apne tan mein rakha huma se chhupa chhupa kar
gire agar sar-kashi ho mujh se abhi falak ko zamin pe paTkun
ki toD Dale main aise mine hazaron shishe uTha uTha kar
kabhi mere dil se karti hain bal kahi hain shane se ye uljhtin
gharaz ki zulfon ko tu ne zalim bigaDa hai sar chaDha chaDha kar
shikast likhta tha nam dil ka yahi thi tifli mein mashq teri
bana diya dil-shikan ye tujh ko moallimon ne likha likha kar
baDe gile hain ajal ko tujh se masih ko bhi bahut hain shikwe
ki dam mein tu ne hain mar Dale hazaron murde jila jila kar
pilana pani ka jam zahid gunah mashrab mein hai hamare
sawab leta nahin hai kyun tu sharab mujh ko pila pila kar
nahin koi raazdar hum sa kiya na wahshat mein tujh ko ruswa
ki dagh manind-e-KHar-e-mahi badan mein rakhe chhupa chhupa kar
gale hazaron ne apne kaTe hazaron be-wajh ho gae KHun
bahut hua phir tu yar nadim kaf-e-hinai dikha dikha kar
nigah ki surat phiro na har su hijab tum mardumuk se sikho
ab aao aankhon mein sair dekho mizha ki chilman uTha uTha kar
dikha ke gul se ezar tu ne kiya dil-e-ashiqan ko bulbul
bana diye gosh ghairat-e-gul sada-e-rangin suna suna kar
gunah karta hai barmala tu kisi se karta nahin haya tu
KHuda ko kya munh dikhaega tu zara tu ai be-haya haya kar
chala hai mahfil se apne saqi dikhaun main apni ashk-bari
karun bat-e-mai ko murgh-e-abi abhi se dariya baha baha kar
rulae barson hansi tu jis se dikhae gar zulf mar rakkhe
kare tu dar-parda rah dil mein jo dekhe parda uTha uTha kar
wahi asar hai junun ka ab tak wahi hai laDkon ko ab bhi kawish
ki meri miTTi ke roz majnun bigaDte hain bana bana kar
ajab nahin nama-e-amal ka dila ho kaghaz agar KHata ke
KHataen kin main ne aashkara kiye hain isyan chhupa chhupa kar
asar hai chah-e-zaqan ki ulfat ka baad-e-murdan bhi aah baqi
ki khelti hain hamari miTTi ke Dol laDke bana bana kar
kiya hai poshida ishq hum ne kisi se dar-parda hai mohabbat
paDe hue bistar-e-alam par jo rote hain munh chhupa chhupa kar
jo KHauf tufan-e-ashk se ab nahin hai jata na jae qasid
rawan karun su-e-yar-e-jaani KHaton ki nawen bana bana kar
tera sa qad ban saka na hargiz teri si surat na bin saki phir
agar-che sane ne lakhon naqshe bigaD Dale bana bana kar
udhar mizha ne lagai barchhi idhar nigahon ne tir mare
shikast di fauj-e-sabr-e-dil ko ye kis ne aankhen laDa laDa kar
kaTi hai goya shab-e-jawani bas aan pahunchi hai subh-e-piri
bahut si ki tu ne but-parasti ab ek do din KHuda KHuda kar
Ghazal
Duaen mangin hain muddaton tak jhuka ke sar hath uTha uTha kar
Goya Faqir Mohammad