dua se kuchh na hua iltija se kuchh na hua
buton ke ishq mein yaad-e-KHuda se kuchh na hawa
main ek kya hun sabhi ba-wafa hain shaki-e-jaur
tum ek kya ho kisi bewafa se kuchh na hua
bhari to thi magar apne asar ko la na saki
gai to thi magar aah-e-rasa se kuchh na hua
wo aarzu hun ki jis aarzu ki kuchh na chali
wo muddaa hun ki jis muddaa se kuchh na hua
yahi sahi ki KHushi se mile mile to sahi
yahi sahi ki hamari dua se kuchh na hua
wo ek hum ki jo chaha kiya visal ki raat
wo ek tum ki tumhaari haya se kuchh na hua
unhen bula ke tasawwur mein hum mile 'muztar'
hawas to ho gai puri bala se kuchh na hua
Ghazal
Dua se kuchh na hua iltija se kuchh na hua
Muztar Khairabadi