dua salam mein lipTi zaruraten mange
qadam qadam pe ye basti tijaraten mange
kahan har ek ko aati hai ras barbaadi
nae safar ki masafat zihanaten mange
chamakte kapDe mahakta KHulus puKHta makan
har ek bazm mein izzat hifazaten mange
koi dhamaka koi chiKH koi hangama
lahu badan ka lahu ki shabahaten mange
koi na ho mere tere alawa basti mein
kabhi kabhi yahi jazba riqabaten mange
Ghazal
Dua salam mein lipTi zaruraten mange
Nida Fazli