اردو हिंदी
Dua ne kaam kiya hai yaqin nahin aata | Shaahi Shayari
dua ne kaam kiya hai yaqin nahin aata

Ghazal

Dua ne kaam kiya hai yaqin nahin aata

Raj Kumar Qais

;

dua ne kaam kiya hai yaqin nahin aata
wo mere pas khaDa hai yaqin nahin aata

main jis maqam par aa kar ruka hun sham Dhale
wahin pe wo bhi ruka hai yaqin nahin aata

wo jis ki aankh mein donon jahan dikhai paDen
wo mujh ko dekh raha hai yaqin nahin aata

jise sanam kabhi samjha kabhi KHuda jaana
wo aisa hosh-ruba hai yaqin nahin aata

jo soz ban ke samaya tha mere sheron mein
wo saz ban ke uTha hai yaqin nahin aata

shagufta chehra aur is par tapan tapan aariz
koi anar chhuTa hai yaqin nahin aata

zahe nasib ki lau de uThi hai tariki
sukut bol paDa hai yaqin nahin aata

harim-e-naz ko dekho ki aaj pahli bar
dar-e-niyaz khula hai yaqin nahin aata

ye kaise pichhle dinon chup si lag gai thi jise
phir aaj naghma-sara hai yaqin nahin aata