dua karo ki koi pyas nazr-e-jam na ho
wo zindagi hi nahin hai jo na-tamam na ho
jo mujh mein tujh mein chala aa raha hai sadiyon se
kahin hayat usi fasle ka nam na ho
koi charagh na aansu na aarzu-e-sahar
KHuda kare ki kisi ghar mein aisi sham na ho
ajib shart lagai hai ehtiyaton ne
ki tera zikr karun aur tera nam na ho
saba-mizaj ki tezi bhi ek neamat hai
agar charagh bujhana hi ek kaam na ho
'wasim' kitni hi subhen lahu lahu guzrin
ek aisi subh bhi aae ki jis ki sham na ho
Ghazal
Dua karo ki koi pyas nazr-e-jam na ho
Waseem Barelvi