dua hi wajh-e-karamat thoDi hoti hai
ghazab ki dhup mein barsat thoDi hoti hai
rah-e-wafa ki riwayat hai sar jhuka rakhna
bisat-e-ishq pe ye mat thoDi hoti hai
jo apna nam saf-e-mo'tabar mein likhte hain
KHud un se apni mulaqat thoDi hoti hai
bahut se raaz dilon ke dilon mein rahte hain
use batane ki har baat thoDi hoti hai
dil o nazar mein jo bas jae dil-ruba Thahre
ki dilrubai koi zat thoDi hoti hai
'hijab' ahl-e-junun mein shumar hone ki
asas izzat-e-sadat thoDi hoti hai
Ghazal
Dua hi wajh-e-karamat thoDi hoti hai
Hijab Abbasi