اردو हिंदी
Dua hamari kabhi ba-asar nahin hoti | Shaahi Shayari
dua hamari kabhi ba-asar nahin hoti

Ghazal

Dua hamari kabhi ba-asar nahin hoti

Danish Farahi

;

dua hamari kabhi ba-asar nahin hoti
tumhaari hum pe karam ki nazar nahin hoti

main kya bataun tere gham mein kya guzarti hai
wo kaun lamha hai jab aankh tar nahin hoti

ilaj-e-dard-e-mohabbat jo ho to kyun kar ho
ilahi koi dawa kargar nahin hoti

tere KHayal mein rahta hun main jo gum ai dost
mujhe zamane ki kuchh bhi KHabar nahin hoti

ujala kaise nazar aaega kahin tum ko
shab-e-firaq ki 'danish' sahar nahin hoti