اردو हिंदी
DozaKH bhi kya guman hai jannat bhi hai fareb | Shaahi Shayari
dozaKH bhi kya guman hai jannat bhi hai fareb

Ghazal

DozaKH bhi kya guman hai jannat bhi hai fareb

Arif Shafiq

;

dozaKH bhi kya guman hai jannat bhi hai fareb
in waswason mein meri ibaadat bhi hai fareb

dariya o dasht aur samundar bhi hain sarab
din ka ujala raat ki zulmat bhi hai fareb

tera har ek KHayal bhi ek KHushnuma guman
duniya hi kya KHud apni haqiqat bhi hai fareb

parchhain ke siwa to nahin hain hum aur kuchh
ye rang-o-nur aur ye nikhat bhi hai fareb

roz-e-azal ka lamha-e-maujud bhi hai aks
yani guzarte waqt ki saat bhi hai fareb

wahm-o-guman ke sae hain suraj bhi chand bhi
andhi hai soch aur basarat bhi hai fareb

hai ye nigar-KHana jo KHwab-o-KHayal sa
is aaine mein meri ye surat bhi hai fareb

'arif'-husain dhoka sahi apni zindagi
is zindagi ke baad ki haalat bhi hai fareb