اردو हिंदी
Doston se to kinara bhi nahin kar sakta | Shaahi Shayari
doston se to kinara bhi nahin kar sakta

Ghazal

Doston se to kinara bhi nahin kar sakta

Hidayatullah Khan Shamsi

;

doston se to kinara bhi nahin kar sakta
un ka har zulm gawara bhi nahin kar sakta

mera dushman mere apnon mein chhupa baiTha hai
us ki jaanib main ishaara bhi nahin kar sakta

shab mein niklega nahin us pe musallat hai nizam
din mein suraj ka nazara bhi nahin kar sakta

aish-o-ishrat ka talabgar nahin hun phir bhi
tang-dasti mein guzara bhi nahin kar sakta

shauq aisa ki machalta hai mohabbat ke liye
jurm aisa ki dobara bhi nahin kar sakta

gham hai betab ki aankhon se nikal jae magar
dil ki daulat ka KHasara bhi nahin kar sakta