اردو हिंदी
Doston ki bazm mein saghar uThae jaenge | Shaahi Shayari
doston ki bazm mein saghar uThae jaenge

Ghazal

Doston ki bazm mein saghar uThae jaenge

Aazim Kohli

;

doston ki bazm mein saghar uThae jaenge
chandni raaton ke qisse phir sunae jaenge

aaj maqtal mein laga hai sar-phiron ka ek hujum
phir kisi qatil ke jauhar aazmae jaenge

zikr phir guzre zamanon ka wahan chhiD jaega
waqt ke chehre se phir parde uThae jaenge

chal paDega phir bayan ek chand se ruKHsar ka
yaad phir zulfon ke pech-o-KHam dilae jaenge

baat chal niklegi phir iqrar ki inkar ki
phir wahi bachpan ke bhule git gae jaenge

yaad aaenge fasane yun to sab ko bazm mein
kuchh kahenge aur kuchh bas muskurae jaenge

jo andhere DhunDhte hain munh chhupane ke liye
raushni ke ru-ba-ru ek din wo lae jaenge

maut ne har bazm ki surat badal Dali yahan
rah gae kuchh yar so wo bhi uThae jaenge

aa chalen 'azim' purane doston ke darmiyan
yaad ki basti mein phir kuchh gul khilae jaenge