dosto tum ne bhi dekhi hai wo surat wo shabih
jo nigahon mein sama jati hai manzar ki tarah
mujh ko ek qatra-e-be-faiz samajh ke na guzar
phail jaunga kisi roz samundar ki tarah
shahr-ashob mein chizon ka koi qaht nahin
zaKHm milte hain dukanon mein gul-e-tar ki tarah
apne hathon ki lakiron mein nahin hai shayad
hae wo zulf jo khul jae muqaddar ki tarah
mujh se itrao na yaro ki mujhe hai malum
aap ka ghar ki shikasta hai mere ghar ki tarah
dil ne kuchh KHwab to dekhe the magar kya kije
wo bhi gum ho gae talab mein patthar ki tarah
Ghazal
Dosto tumne bhi dekhi hai wo surat wo shabih
Dilkash Sagari