اردو हिंदी
Dosto kya kya diwali mein nashat-o-aish hai | Shaahi Shayari
dosto kya kya diwali mein nashat-o-aish hai

Ghazal

Dosto kya kya diwali mein nashat-o-aish hai

Nazeer Akbarabadi

;

dosto kya kya diwali mein nashat-o-aish hai
sab muhayya hai jo is hangam ke shayan hai shai

is tarah hain kucha-o-bazar par naqsh-o-nigar
ho ayan husn-e-nigarisatan ki jin se KHub re

garm-joshi apne ba-jam-e-charaghan lutf se
kya hi raushan kar rahi hai har taraf roghan ki mai

mail-e-sair-e-charaghan KHalq har ja dam-ba-dam
hasil-e-nazzara husn-e-shama-ru yan pai-ba-pai

aashiqan kahte hain mashuqon se ba-ijz-o-niyaz
hai agar manzur kuchh lena to hazir hain rupe

gar mukarrar arz karte hain to kahte hain wo shoKH
hum se lete ho miyan takrar-e-hujjat ta-ba-kai

kahte hain ahl-e-qimar aapas mein garm-e-iKHtilat
hum to Dab mein sau rupe rakhte hain tum rakhte ho ke

jit ka paDta hai jis ka danw wo kahta hun main
su-e-dast-e-rast hai mere koi farKHanda-pai

hai dasahre mein bhi yun gar farhat-o-zinat 'nazir'
par diwali bhi ajab pakiza-tar tyauhaar hai