dosto ke kaam aana jurm hai
KHud ko dariya-dil banana jurm hai
ashk-rezi ki ijazat hai magar
ehtijajan muskurana jurm hai
munharif tarikiyon ke saz par
koi raushan git gana jurm hai
jab numaish ki chamak ho na-guzir
apni raunaq bhul jaana jurm hai
sar jhukana achchhi aadat hai magar
tang aa kar sar uThana jurm hai
pattharon ke bagh mein sajid-'asar'
kanch ke paude lagana jurm hai

Ghazal
Dosto ke kaam aana jurm hai
Sajid Asar