dosto durd pilao ki kaDi raat kaTe
mai mein kuchh aur milao ki kaDi raat kaTe
aansuon se ye kaDi raat nahin kaT sakti
aaj mai-KHana lunDhao ki kaDi raat kaTe
naghme bazar mein mahnge hain to kya gham yaro
nauhe ko naghma banao ki kaDi raat kaTe
zist aur maut asatir-e-kuhan hain yaro
naya afsana sunao ki kaDi raat kaTe
koi mashhud hai ab aur na koi shahid
aur agar hai to dikhao ki kaDi raat kaTe
ye bhi iman hi ka dusra ruKH hai logo
kufr ko din banao ki kaDi raat kaTe
ye andhera ye samundar ye talatum aao
aao aur mujh mein samao ki kaDi raat kaTe

Ghazal
Dosto durd pilao ki kaDi raat kaTe
Saghar Nizami