اردو हिंदी
Dosto dil kahin zinhaar na aane pae | Shaahi Shayari
dosto dil kahin zinhaar na aane pae

Ghazal

Dosto dil kahin zinhaar na aane pae

Imdad Ali Bahr

;

dosto dil kahin zinhaar na aane pae
dil ke hathon koi aazar na aane pae

kijiye husn-parasti magar is qaid ke sath
pyari surat pe zara pyar na aane pae

KHana-e-yar ghar aafat ka hai ai rahgiro
jism par saya-e-diwar na aane pae

ai junun tera zamane mein rahe jab tak daur
hosh mein aashiq-e-sarshaar na aane pae

aap par uqda-e-nazuk-kamari khul jata
ta-kamar gesu-e-KHamdar na aane pae

chashm-e-mahbub se nargis ko barabar na karo
pas bimar ke bimar na aane pae

'bahr' kuchh gham na karo dil ke juda hone ka
ab baghal mein ye bad-atwar na aane pae