اردو हिंदी
Dosti uski dushmani hi sahi | Shaahi Shayari
dosti uski dushmani hi sahi

Ghazal

Dosti uski dushmani hi sahi

Ghulam Maula Qalaq

;

dosti us ki dushmani hi sahi
dost to ho wo muddai hi sahi

masti-o-bahs-e-uzr-e-kaffara
tauba se tauba hum ne ki hi sahi

hai agar kuchh wafa to kya kahne
kuchh nahin hai to dil lagi hi sahi

ji hai ye bin lage nahin rahta
kuchh to ho shaghl-e-ashiqi hi sahi

mohtasib KHatm kijiye hujjat
pi hai to KHair hum ne pi hi sahi

haif KHamyaz-ha-e-hasrat-o-shauq
zindagani kashakashi hi sahi

jaan de kar liya hai nam-e-wafa
maut bhi hum ne mol li hi sahi

milte hain muddai se milne do
ki meri na-KHushi KHushi hi sahi

bosa dene ki chiz hai aaKHir
na sahi har ghaDi kabhi hi sahi

qatl hote hain qatl hote hain
ahd-e-dil daur-e-nadari hi sahi

ai 'qalaq' nasehon se kya takrar
man ek baat man li hi sahi