dosti kuchh nahin ulfat ka sila kuchh bhi nahin
aaj duniya mein ba-juz zehn-e-rasa kuchh bhi nahin
patte sab gir gae peDon se magar kya kahiye
aisa lagta hai hamein jaise hua kuchh bhi nahin
kal ki yaadon ki jalane ko jalaen mishal
ek tarik udasi ke siwa kuchh bhi nahin
DhunDhna chhoD do parchhain ka maskan yaro
chahe jis tarah jiyo is mein naya kuchh bhi nahin
ek buroTas se shikayat ho to dil dukhta hai
ho jo har ek se shikwa to gila kuchh bhi nahin

Ghazal
Dosti kuchh nahin ulfat ka sila kuchh bhi nahin
Salman Akhtar