dosti ko aam karna chahta hai
KHud ko wo nilam karna chahta hai
bech aaya hai ghaTa ke hath suraj
dopahar ko sham karna chahta hai
naukri pe bas nahin jaan pe to hoga
ab wo koi kaam karna chahta hai
umr-bhar KHud se raha naraaz lekin
dusron ko ram karna chahta hai
bechta hai sach bhare bazar mein wo
zahar pi kar nam karna chahta hai
maqta-e-be-rang kah kar aaj 'aslam'
hujjat-e-itmam karna chahta hai
Ghazal
Dosti ko aam karna chahta hai
Aslam Habeeb