dosti ka chalan raha hi nahin
ab zamane ki wo hawa hi nahin
sach to ye hai sanam-kade walo
dil KHuda ne tumhein diya hi nahin
palaT aane se ho gaya sabit
nama-bar tu wahan gaya hi nahin
haal ye hai ki hum gharibon ka
haal tum ne kabhi suna hi nahin
kya chale zor dasht-e-wahshat ka
hum ne daman kabhi siya hi nahin
ghair bhi ek din marenge zarur
un ke hisse mein kya qaza hi nahin
us ki surat ko dekhta hun main
meri sirat wo dekhta hi nahin
ishq mera hai shahr mein mashhur
aur tum ne abhi suna hi nahin
qissa-e-qais sun ke farmaya
jhuT ki koi intiha hi nahin
wasta kis ka den 'hafiz' un ko
un buton ka koi KHuda hi nahin
Ghazal
Dosti ka chalan raha hi nahin
Hafeez Jalandhari