اردو हिंदी
Dosti apni jagah aur dushmani apni jagah | Shaahi Shayari
dosti apni jagah aur dushmani apni jagah

Ghazal

Dosti apni jagah aur dushmani apni jagah

Ganesh Bihari Tarz

;

dosti apni jagah aur dushmani apni jagah
farz ke anjam dene ki KHushi apni jagah

hum to sargarm-e-safar hain aur rahenge umr bhar
manzilen apni jagah aawargi apni jagah

pattharon ke des mein shishe ka hai apna waqar
dewta apni jagah aur aadmi apni jagah

gyan mana hai baDa bhakti bhi lekin kam nahin
aagahi apni jagah diwangi apni jagah

subh hain sajde mein hum to sham saqi ke huzur
bandagi apni jagah aur mai-kashi apni jagah

sara aalam hai tarannum-KHez ai shair-nawaz
sher ki apni jagah aur tarz ki apni jagah