اردو हिंदी
Dost kuchh aur bhi hain tere alawa mere dost | Shaahi Shayari
dost kuchh aur bhi hain tere alawa mere dost

Ghazal

Dost kuchh aur bhi hain tere alawa mere dost

Idris Babar

;

dost kuchh aur bhi hain tere alawa mere dost
kai sahra mere hamdam kai dariya mere dost

tu bhi ho main bhi hun ek jagah pe aur waqt bhi ho
itni gunjaishen rakhti nahin duniya mere dost!

teri aankhon pe mera KHwab-e-safar KHatm hua
jaise sahil pe utar jae safina mere dost!

zist be-mani wahi be-sar-o-samani wahi
phir bhi jab tak hai teri dhup ka saya mere dost!

ab to lagta hai judai ka sabab kuchh bhi na tha
aadmi bhul bhi sakta hai na rasta mere dost!

rah takte hain kahin dur kai sust charagh
aur hawa tez hui jati hai achchha mere dost!