dost KHush hote hain jab dost ka gham dekhte hain
kaisi duniya hai ilahi jise hum dekhte hain
dekhte hain jise ba-dida-e-nam dekhte hain
aap ke dekhne walon ko bhi hum dekhte hain
be-mahal ab to sitamgar ke sitam dekhte hain
kaise-kaison ko bure haal mein hum dekhte hain
hans ke taDpa de magar ghusse se surat na bigaD
ye bhi malum hai zalim tujhe hum dekhte hain
log kyun kahte hain tu us ko na dekh us ko na dekh
hum ko allah dikhata hai to hum dekhte hain
bagh ki sair na bazar ki tafrih rahi
hum to barson mein kisi din pe qadam dekhte hain
lal hire sahi tere lab-e-dandan idhar aa
toD lete to nahin hain unhen hum dekhte hain
shal hue dast-e-talab bhul gae harf-e-sawal
aaj hum hausla-e-ahl-e-karam dekhte hain
main tamasha sahi lekin ye tamasha kaisa
muft mein log tere zulm-o-sitam dekhte hain
aap ki kam-nigahi husn bhi hai aib bhi hai
log aisa bhi samajhte hain ki kam dekhte hain
hum ko Thukraate chalen aap ki mahfil mein adu
kya unhen kam nazar aata hai ya kam dekhte hain
chaar logon ke dikhane ko to aKHlaq se mil
aur kuchh bhi nahin duniya mein bharam dekhte hain
mera hona bhi na hone ke barabar hai wahan
dekhen jo log wajud aur adam dekhte hain
aankh mein sharm ka pani magar itna bhi na ho
dekh un ko jo teri aankh ko nam dekhte hain
ho to jaega tere dekhne walon mein shumar
awwal awwal hi magar apne ko hum dekhte hain
rasta chalne ki ek chheD thi tu aaqa na aa
hum to ye qaul ye wada ye qasam dekhte hain
dekhna jurm hua zulm hua qahr hua
ye na dekha tujhe kis aankh se hum dekhte hain
aankh un ki hai dil un ka hai kaleja un ka
raat-din jo mujhe ba-dida-e-nam dekhte hain
apna rona bhi safi' ras na aaya hum ko
us ko shikwa hai ki aankhen teri nam dekhte hain

Ghazal
Dost KHush hote hain jab dost ka gham dekhte hain
Safi Aurangabadi