dost ka ghar aur dushman ka pata malum hai
zindagi hum ko tera ye silsila malum hai
zindagi ja hum bhi ku-e-arzu tak aa gae
is ke aage hum ko sara rasta malum hai
kya munajjim se karen hum apne mustaqbil ki baat
haal ke bare mein hum ko kaun sa malum hai
ya to jo na-fahm hain wo bolte hain in dinon
ya jinhen KHamosh rahne ki saza malum hai
sher par to aap ki qudarat musallam hai 'shuja'
is zamane ka bhi kuchh achchha bura malum hai
Ghazal
Dost ka ghar aur dushman ka pata malum hai
Shuja Khaavar