dost jitne bhi the mazar mein hain
ghaaliban mere intizar mein hain
wo na hote mera wajud na tha
main na hota wo kis shumar mein hain
shaKH-e-idrak mein jo kanTe hain
phul banne ke intizar mein hain
kya sabab hai ki ek mausam mein
kuchh KHizan mein hain kuchh bahaar mein hain
ek shair bana KHuda-e-suKHan
jo rasul-e-suKHan the ghaar mein hain
KHar samjho na tum unhen hargiz
sanp ke dant gul ke haar mein hain
shimr-o-firaun kab hue marhum
un ke ausaf rishte-dar mein hain
sab ke sab kawish-e-farishta-KHisal
aib jitne hain KHaksar mein hain
Ghazal
Dost jitne bhi the mazar mein hain
Kavish Badri