dost ban kar bhi nahin sath nibhane wala
wahi andaz hai zalim ka zamane wala
ab use log samajhte hain giraftar mera
saKHt nadim hai mujhe dam mein lane wala
subh-dam chhoD gaya nikhat-e-gul ki surat
raat ko ghuncha-e-dil mein simaT aane wala
kya kahen kitne marasim the hamare us se
wo jo ek shaKHs hai munh pher ke jaane wala
tere hote hue aa jati thi sari duniya
aaj tanha hun to koi nahin aane wala
muntazir kis ka hun TuTi hui dahliz pe main
kaun aaega yahan kaun hai aane wala
kya KHabar thi jo meri jaan mein ghula hai itna
hai wahi mujh ko sar-e-dar bhi lane wala
main ne dekha hai bahaaron mein chaman ko jalte
hai koi KHwab ki tabir batane wala
tum takalluf ko bhi iKHlas samajhte ho 'faraaz'
dost hota nahin har hath milane wala
Ghazal
Dost ban kar bhi nahin sath nibhane wala
Ahmad Faraz