dosh-e-hawa pe tinkon ka ye aashiyana kya
jis ko ujaD hi jaana hai wo ghar basana kya
hum ko chhupa rahe ho ye aaKHir hamin se kyun
hum se mila rahe ho hamein ghaebana kya
hum kaun juzw-e-KHas kisi dastan ke the
kaisa hamara zikr hamara fasana kya
aankhon mein ashk rok liye is KHayal se
miTTi mein motiyon ka luTaen KHazana kya
wo bazm-e-dostan na wo ab ku-e-dilbaran
bahar nikal ke ghar se kahin aana jaana kya
maqsad ye kya nahin hai ki dushman ko ho shikast
ye jang ho rahi hai koi dostana kya
jab sab yahan KHamosh hain diwar ki tarah
phir sunna kya kisi se kisi ko sunana kya
'mohsin' kahin bhi le ke hamein aab-o-dana jae
apna yahan pe Thaur koi kya Thikana kya
Ghazal
Dosh-e-hawa pe tinkon ka ye aashiyana kya
Mohsin Zaidi